Sunday, May 2, 2010

Munawwr rana...

Safed Poshi tera aitbaar jaata hai,
Agar chiraag hawaaon se haar jata hai.

Kadam badhane mein khatra hai Maut ka lekin,
Mein LauTta hoon to sara waqar jata hai.

waqar = image

Karen naseeb se shikwa ya mausamo ka gila,
Badal ke raasta Abr-e-bahaar jata hai.


Mein apna lehza to tabdeel kar nahi sakta,
balaa se jaaye agar Karobaar jata hai.

No comments:

Post a Comment